Aik admi apni biwi ke har kaam mein nuks nikalta,
Agar woh anda boil karti to kehta fry karna tha,
Agar fry karti to kehta ke boil karna tha,
Aik din biwi ne dono bana liye,
Dono andon ko ghor se dekhne ke baad bola:
"Tumhe aqal kab aye gi?
Jis anday ko fry karna tha usay boil kar diya,
Aur jis ko boil karna tha usko fry...."