Hum kon hain kia hain ba-Khuda yad nhi,
Apnay islaf ki koi b ada yad nhi
Hain agr yad to kafir k trane ab tak
Hai nhi yad to Kaba ki sada yad nhi
Bint-e-Hawwa ko nachate hain sar-e mehfil ab bi
kitne sang dil hain k rasm e haya yad nhi
Aaj apni zillat ka sabab ye hai shayed
Aaj hmko b to apna KHUDA yad nhi...