*/Ghazal/*
Us ne door rehne ka mashvara b likha hai,
sath hi muhabat ka wasta b likha hai,
us ne ye b likha hai meray ghar nahi aana,
aur saaf saaf lafzon mai rasta b likha hai,
kuch haruf likhay hain zabt ki nasihat mei,
kuch haruf mai us ne hosla b likha hai,
shukrya b likha hai dil se yad karnay ka,
dil se dil ka hai kitna fasla b likha hai,
kia usay likhein
kia usay kahain ,
jis ne bejaan kar k jan b likha hai.