Tum rooth jao mujhse, aisa kabhi na kerna
main ik nazar ko tarsoon, aisa kabhi na kerna
main pooch pooch haroon, so so sawal kar k
tum kuch jawab na do, aisa kabhi na kerna
mujhse hi mil k hansna, mujhse hi mil k rona
mujhse bicher k jee lo, aisa kabhi nakerna
tum chand ban k rehna, main daikhta rahoon ga
kisi roz tum na niklo, aisa kabhi na kerna
tum chalay jao jab bhi, tu dekhoon tumhara rasta
tum loat k na aao, asia kabhi na karna....