Dar-e-Mustafa se pare hatne walon hua na guzara tou phr kaya karoge,
Koi b agar na hua do jahan mein waseela tumhara tou phr kaya karo ge.
Nabi ji ki tazeem se rokte ho salaat aur tasleem se rokte ho,
Yeh harkat tumhari Rasool-e-Khuda ko hui na gawara tou phr kaya karoge.
Nabi ji ki tazeem-o-tauqeer beshak ba hukm-e-khuda momino par hai wajib,
Magar shirk keh kar jahannum thikana hua jo tumhara tou phr ka karo ge.
Mohabbat Nabi ki mohabbat khuda ki,ata'at nabi ki ata'at khuda ki,
Nahn mante ho tou na mano lakin hua jo khasara tou phr kaya karoge.
Mere mulk-o-millat ke nojawano musalman bano khudara baat maano,
Qayamat ke din tum se razi hua na jo mehboob payara tou kaya karoge.