Nazron sey nazren mili to bura maan gey,
Hum ney aankhon sey ishara kia to bura maan gey,
Mohabbat ka izhar to unhon ney hi kia tha,
Hal-e-dil hum ney sunaya to bura maan gey,
Har baat pey muskurana un ki aadat thi,
Thora sa hum ney hasaya to bura maan gey,
Humen aazmaney ki baat kartey they woh aksar,
Jab hum ney aazamaya to bura maan gey,
Dosti main bewafai na karna woh aksar yeh kehtey they,
Isi baat ko jab hum ney duhraya to bura maan gey...