Mohabbat ki bastee me apka swagat hai
Yahan khushio ka ehsas he
Aur mehbooob k deedar ki pias he
Yahan ghamon ki shaam he
Jis me shair humkalam he
Yahan apne b he begane b he
Yahan jaan k nazrane b he
yahan mehboob hi shams-o-qamar he
Par mehboob aksar bekhabar he
Yahan sahir lotere b mohjood he
Jo sire se zlim wjood he
Yahan mehboob k deewane b he
Jo us k parwane b he
Yahan raqeeb b he
Jo mehboob k qareeb b he
Yahan Kazibo ki manmani b he
Aur ansoo ki mala sohani b he
Bs ae mere dost qisa mukhtsar
Mohabbat ki is baste me na koi apni marzi se ata he
aur na koi apni marze se jaata he
Is me na koi mazhab ki hadd he
Aur na hi umar ki qed he







