kiun hansatay ho tum , rulanay kay baad,
nishan rah jata hai ,zakham bhar janay kay baad,
kiun masal datay ho , phool ko songnay kay baad,
yeh to khushboo daita hai , bikhar janay kay baad,
sabab jan-nae ki kabhi tum karo koshish ,
kiun yaad atay hain dost bicharjanay kay baad,
sabhi naraz rahtay hain hum say ,
sab say miltay hain hum, tum say milnay kay baad.......