Nigahon k Tasaadom se, ajab Taqrar karta hai.
Yaqeen Qamil nahi lekin, Guman hai pyar karta hai.
Laraz jata hoon main ye soch k, Kafir na ho jaon,
Tabiyt us ki Poja k liye, israar karti hai.
Usay Malom hai shayad, mera dil hai nishane pr,
Labon se kuch nhi kehti, Nazar se war karti hai.
Main us se pochta hon khuwab mai, mujh se Mohbat ha ???
Phir aankhain khol deta hon, wo jab izhar karti hai.




