Hai dua magr harf-e-dua yaad nahi,
Mere naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahi.
Hum ne jin k liye raahon main bichhaya tha lahu,
Hum se kehte hain wohi, "EHD-E-WAFA YAAD NAHI?".
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarhan kaati hai,
Jaane kis jurm ki paai hai saza, yaad nahi.
Main ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai,
Main saa'il hun jise koi sada yaad nahi.
Kese bhr aaien sar-e-sham kisi ki aankhen,
Kese thrraaye charaghon ki zia, yaad nahi.
Sirf dhundlaate sitaray ki chamak dekhi hai,
Kab hua? Kon hua? Mujh se juda yaad nahi.
Aao aik sajda karen aalam-e-madhoshi main,
Log kehte hain k SAGAR ko Khuda yaad nahi.